ye bahut aasan hai sab par tabsira karte raho
ye bahut āsāñ hai sab par tabsirā karte raho
baat to jab hai ki apnā sāmnā karte raho
har-nafas par zindagī kā haq adā karte raho
roz marnā hai to jiine kī duā karte raho
har-qadam par manzileñ āvāz deñgī ḳhud tumheñ
shart ye hai apne hone kā patā karte raho
kyā zarūrī hai na maano dil kī koī baat bhī
achchhā lagtā hai kabhī dil kā kahā karte raho
hai yahī rasm-e-mohabbat to chalo yuuñ hī sahī
ham vafā karte raheñ aur tum jafā karte raho
āte-jāte mausamoñ kā rang nazroñ meñ rahe
kaun manzar kis tarah hai tajziya karte raho
phir yazīd-e-asr ke ab haath meñ talvār hai
phir husain-ibn-e-alī kā tazkira karte raho
ye bahut aasan hai sab par tabsira karte raho
baat to jab hai ki apna samna karte raho
har-nafas par zindagi ka haq ada karte raho
roz marna hai to jine ki dua karte raho
har-qadam par manzilen aawaz dengi KHud tumhein
shart ye hai apne hone ka pata karte raho
kya zaruri hai na mano dil ki koi baat bhi
achchha lagta hai kabhi dil ka kaha karte raho
hai yahi rasm-e-mohabbat to chalo yun hi sahi
hum wafa karte rahen aur tum jafa karte raho
aate-jate mausamon ka rang nazron mein rahe
kaun manzar kis tarah hai tajziya karte raho
phir yazid-e-asr ke ab hath mein talwar hai
phir husain-ibn-e-ali ka tazkira karte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.