ye bala mere sar chaDhi hi nahin
ye balā mere sar chaḌhī hī nahīñ
maiñ ne kachche ghaḌe kī pī hī nahīñ
aag aisī kabhī lagī hī nahīñ
ki lagī dil kī phir bujhī hī nahīñ
pī bhī yuuñ jaise maiñ ne pī hī nahīñ
muñh se mere kabhī lagī hī nahīñ
dil na jab tak huā sharīk-e-hinā
mehñdī un kī kabhī pisī hī nahīñ
shikan-e-zulf halqa-e-gesū
beḌiyāñ bhī haiñ hathkaḌī hī nahīñ
kaun letā balā.eñ paikāñ kī
aarzū koī dil meñ thī hī nahīñ
kis qadar huuñ banā havā meñ bhī
jaise maiñ ne sharāb pī hī nahīñ
dil meñ kyā aa.e kyā chale dil se
tum ne chuTkī to koī lī hī nahīñ
sub.h kā jhuTpuTā thā shaam na thī
vasl kī raat raat thī hī nahīñ
kyuuñ sune shaiḳh qulqul-e-mīnā
us ne aisī kabhī sunī hī nahīñ
aa.e aane ko fasl-e-gul sau baar
mere dil kī kalī khilī hī nahīñ
haa.e sabze meñ vo siyah botal
kabhī aisī ghaTā uThī hī nahīñ
laag bhī dil se hai lagāv ke saath
dushmanī bhī hai dostī hī nahīñ
muñh lagānā mirā ik aafat thā
ḳhum meñ vo chiiz jaise thī hī nahīñ
bazm-ārā-e-hashr ke sadqe
mahfil aisī kabhī jamī hī nahīñ
kuchh maze meñ ham aa ga.e aise
tauba piine se ham ne kī hī nahīñ
koī nā-ḳhush 'riyāz' se kyuuñ ho
us ravish kā vo aadmī hī nahīñ
ye bala mere sar chaDhi hi nahin
main ne kachche ghaDe ki pi hi nahin
aag aisi kabhi lagi hi nahin
ki lagi dil ki phir bujhi hi nahin
pi bhi yun jaise main ne pi hi nahin
munh se mere kabhi lagi hi nahin
dil na jab tak hua sharik-e-hina
mehndi un ki kabhi pisi hi nahin
shikan-e-zulf halqa-e-gesu
beDiyan bhi hain hathkaDi hi nahin
kaun leta balaen paikan ki
aarzu koi dil mein thi hi nahin
kis qadar hun bana hawa mein bhi
jaise main ne sharab pi hi nahin
dil mein kya aae kya chale dil se
tum ne chuTki to koi li hi nahin
subh ka jhuTpuTa tha sham na thi
wasl ki raat raat thi hi nahin
kyun sune shaiKH qulqul-e-mina
us ne aisi kabhi suni hi nahin
aae aane ko fasl-e-gul sau bar
mere dil ki kali khili hi nahin
hae sabze mein wo siyah botal
kabhi aisi ghaTa uThi hi nahin
lag bhi dil se hai lagaw ke sath
dushmani bhi hai dosti hi nahin
munh lagana mera ek aafat tha
KHum mein wo chiz jaise thi hi nahin
bazm-ara-e-hashr ke sadqe
mahfil aisi kabhi jami hi nahin
kuchh maze mein hum aa gae aise
tauba pine se hum ne ki hi nahin
koi na-KHush 'riyaz' se kyun ho
us rawish ka wo aadmi hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.