ye bhi hai koi baat ki dil bad-guman na ho
ye bhī hai koī baat ki dil bad-gumāñ na ho
merā to ho adū kā magar imtihāñ na ho
tere sivā jo dil meñ koī jān-e-jāñ na ho
phir ye makān kaahe ko ho lā-makāñ na ho
ai zabt-e-dard-e-ishq kisī par ayaañ na ho
dil hī meñ aah kar ki koī bad-gumāñ na ho
shart-e-vafā hai shikva-e-jānāñ bayāñ na ho
mahshar ko bā-ḳhudā mire muñh meñ zabāñ na ho
gulchīñ ho shaad ḳhush raheñ sayyād-o-bāġhbāñ
gulshan meñ gar nahīñ hai mirā āshiyāñ na ho
kyoñ ho butoñ ke qaul kā har baar e.atibār
dhokā na khā.eñ ham jo ḳhudā darmiyāñ na ho
us barq-e-fitna-ḳhū kī jo chāleñ na hoñ sharīk
is āb-o-tāb kā sitam-e-āsmāñ na ho
merā ḳhudā-e-pāk to hai mehrbān-e-hāl
kyā fikr hai vo but jo nahīñ mehrbāñ na ho
ā.īna ham dikhāte haiñ o bad-gumāñ tujhe
dekheñ to apne husn pe tujh ko gumāñ na ho
aane de roz-e-hashr zarā ai shab-e-firāq
aisī jagah talāsh karūñ tū jahāñ na ho
duniyā meñ us ke jor se mumkin nahīñ najāt
aisī zamīñ kahāñ hai jahāñ āsmāñ na ho
be-fasl kyoñ falak pe ghaTā.eñ uThīñ haiñ aaj
bachnā ye merī aah kā zālim dhuāñ na ho
jo kuchh ki pūchhnā hai yahīñ mujh se pūchh le
yā-rab butoñ ke ishq kī pursish vahāñ na ho
maiñ apne dil meñ rakkhūñgā ġhairoñ ko qadr kyā
mujh par lagā ki tiir koī rā.egāñ na ho
hikmat ḳhudā kī thī ki ye khaTkā lagā diyā
phūle na gul samā.eñ jo ḳhauf-e-ḳhizāñ na ho
bandish ye shā.iroñ kī ba.īd-az-qayās hai
mumkin nahīñ kisī ke kamar yā dahāñ na ho
tirchhī na ho nigāh to bismil na ho koī
sīdhā na jaa.e tiir jo TeḌhī kamāñ na ho
allāh re nigāh-e-sanam kī safā.iyāñ
chaurang kaaT jaa.e magar kuchh nishāñ na ho
TūTeñ na yuuñ kisī pe sitam par sitam kabhī
'kaifī' jo āsmāñ pe koī āsmāñ na ho
ye bhi hai koi baat ki dil bad-guman na ho
mera to ho adu ka magar imtihan na ho
tere siwa jo dil mein koi jaan-e-jaan na ho
phir ye makan kahe ko ho la-makan na ho
ai zabt-e-dard-e-ishq kisi par ayan na ho
dil hi mein aah kar ki koi bad-guman na ho
shart-e-wafa hai shikwa-e-jaanan bayan na ho
mahshar ko ba-KHuda mere munh mein zaban na ho
gulchin ho shad KHush rahen sayyaad-o-baghban
gulshan mein gar nahin hai mera aashiyan na ho
kyon ho buton ke qaul ka har bar eatibar
dhoka na khaen hum jo KHuda darmiyan na ho
us barq-e-fitna-KHu ki jo chaalen na hon sharik
is aab-o-tab ka sitam-e-asman na ho
mera KHuda-e-pak to hai mehrban-e-haal
kya fikr hai wo but jo nahin mehrban na ho
aaina hum dikhate hain o bad-guman tujhe
dekhen to apne husn pe tujh ko guman na ho
aane de roz-e-hashr zara ai shab-e-firaq
aisi jagah talash karun tu jahan na ho
duniya mein us ke jor se mumkin nahin najat
aisi zamin kahan hai jahan aasman na ho
be-fasl kyon falak pe ghaTaen uThin hain aaj
bachna ye meri aah ka zalim dhuan na ho
jo kuchh ki puchhna hai yahin mujh se puchh le
ya-rab buton ke ishq ki pursish wahan na ho
main apne dil mein rakkhunga ghairon ko qadr kya
mujh par laga ki tir koi raegan na ho
hikmat KHuda ki thi ki ye khaTka laga diya
phule na gul samaen jo KHauf-e-KHizan na ho
bandish ye shairon ki baid-az-qayas hai
mumkin nahin kisi ke kamar ya dahan na ho
tirchhi na ho nigah to bismil na ho koi
sidha na jae tir jo TeDhi kaman na ho
allah re nigah-e-sanam ki safaiyan
chaurang kaT jae magar kuchh nishan na ho
TuTen na yun kisi pe sitam par sitam kabhi
'kaifi' jo aasman pe koi aasman na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.