ye bhi mausam ajib mausam hai
ye bhī mausam ajiib mausam hai
us se bichhḌe haiñ aur dukh kam hai
mustaqil us ko yaad kartā huuñ
mustaqil ek sā hī aalam hai
ek chehra hai jis ko dekhtā huuñ
ek āvāz hai jo paiham hai
tum bhī us kī nishāniyāñ sun lo
lahja ḳhushbū hai baat shabnam hai
chīḳhtā huuñ use bulāne ko
aur āvāz phir bhī maddham hai
sochtā huuñ ki maiñ nahīñ rotā
aur mirī aañkh meñ baḌā nam hai
vaise hī rāste haiñ saare magar
saath chaltā thā jo vahī kam hai
koī miltā nahīñ mohabbat ko
ik ajab furqatoñ kā aalam hai
mujh se ye ġham sahā nahīñ jaatā
ġhāliban mujh ko ab bahut ġham hai
ye bhi mausam ajib mausam hai
us se bichhDe hain aur dukh kam hai
mustaqil us ko yaad karta hun
mustaqil ek sa hi aalam hai
ek chehra hai jis ko dekhta hun
ek aawaz hai jo paiham hai
tum bhi us ki nishaniyan sun lo
lahja KHushbu hai baat shabnam hai
chiKHta hun use bulane ko
aur aawaz phir bhi maddham hai
sochta hun ki main nahin rota
aur meri aankh mein baDa nam hai
waise hi raste hain sare magar
sath chalta tha jo wahi kam hai
koi milta nahin mohabbat ko
ek ajab furqaton ka aalam hai
mujh se ye gham saha nahin jata
ghaaliban mujh ko ab bahut gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.