ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamasha hi na ho
ye bhī mumkin hai ki āñkheñ hoñ tamāshā hī na ho
raas aane lage ham ko to ye duniyā hī na ho
kahīñ nikle koī andāza hamārā bhī ġhalat
jānte haiñ use jaisā kahīñ vaisā hī na ho
ho kisī tarha se maḳhsūs hamāre hī liye
yaanī jitnā nazar aatā hai vo utnā hī na ho
TakTakī bāñdh ke maiñ dekh rahā huuñ jis ko
ye bhī ho saktā hai vo sāmne baiThā hī na ho
vo koī aur ho jo saath kisī aur ke hai
asl meñ to vo abhī lauT ke aayā hī na ho
ḳhvāb-dar-ḳhvāb chalā kartā hai āñkhoñ meñ jo shaḳhs
DhūñDne nikleñ use aur kahīñ rahtā hī na ho
chamak uTThā ho abhī rū-e-bayābāñ ik dam
aur ye nazzāra kisī aur ne dekhā hī na ho
kaifiyat hī koī paanī ne badal lī ho kahīñ
ham jise dasht samajhte haiñ vo dariyā hī na ho
mas.ala itnā bhī āsān nahīñ hai ki 'zafar'
apne nazdīk jo sīdhā hai vo ulTā hī na ho
ye bhi mumkin hai ki aankhen hon tamasha hi na ho
ras aane lage hum ko to ye duniya hi na ho
kahin nikle koi andaza hamara bhi ghalat
jaante hain use jaisa kahin waisa hi na ho
ho kisi tarha se maKHsus hamare hi liye
yani jitna nazar aata hai wo utna hi na ho
TakTaki bandh ke main dekh raha hun jis ko
ye bhi ho sakta hai wo samne baiTha hi na ho
wo koi aur ho jo sath kisi aur ke hai
asl mein to wo abhi lauT ke aaya hi na ho
KHwab-dar-KHwab chala karta hai aankhon mein jo shaKHs
DhunDne niklen use aur kahin rahta hi na ho
chamak uTTha ho abhi ru-e-bayaban ek dam
aur ye nazzara kisi aur ne dekha hi na ho
kaifiyat hi koi pani ne badal li ho kahin
hum jise dasht samajhte hain wo dariya hi na ho
masala itna bhi aasan nahin hai ki 'zafar'
apne nazdik jo sidha hai wo ulTa hi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.