ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya
ye bhī nahīñ ki dast-e-duā tak nahīñ gayā
merā savāl ḳhalq-e-ḳhudā tak nahīñ gayā
phir yuuñ huā ki haath se kashkol gir paḌā
ḳhairāt le ke mujh se chalā tak nahīñ gayā
maslūb ho rahā thā magar hañs rahā thā maiñ
āñkhoñ meñ ashk le ke ḳhudā tak nahīñ gayā
jo barf gir rahī thī mire sar ke ās-pās
kyā likh rahī thī mujh se paḌhā tak nahīñ gayā
'faisal' mukālima thā havāoñ kā phuul se
vo shor thā ki mujh se sunā tak nahīñ gayā
ye bhi nahin ki dast-e-dua tak nahin gaya
mera sawal KHalq-e-KHuda tak nahin gaya
phir yun hua ki hath se kashkol gir paDa
KHairaat le ke mujh se chala tak nahin gaya
maslub ho raha tha magar hans raha tha main
aankhon mein ashk le ke KHuda tak nahin gaya
jo barf gir rahi thi mere sar ke aas-pas
kya likh rahi thi mujh se paDha tak nahin gaya
'faisal' mukalima tha hawaon ka phul se
wo shor tha ki mujh se suna tak nahin gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.