ye bhi nahin ki un se mohabbat nahin rahi
ye bhī nahīñ ki un se mohabbat nahīñ rahī
ye bhī hai sach ki diid kī hasrat nahīñ rahī
dil un kī is adā se bhī mānūs ho gayā
ab jaur-e-be-ruḳhī kī shikāyat nahīñ rahī
donoñ badalte vaqt ke sāñche meñ Dhal ga.e
vo dil nahīñ rahā vo tabī.at nahīñ rahī
kyā dekhte haiñ dekh ke pesh-e-nazar unheñ
goyā nigah meñ diid kī tāqat nahīñ rahī
ab ḳhvāb hī meñ un se mulāqāt ho to ho
milne kī un kī aur to sūrat nahīñ rahī
jab kuchh na the ḳhayāl thā nām-o-numūd kā
ab kuchh hue to ḳhvāhish-e-shohrat nahīñ rahī
sad-haif zarf valvala-e-dil ke bāvajūd
pahlī sī vo jasārat-o-jur.at nahīñ rahī
insāniyat ke naam kā charchā to hai magar
insāniyat amal se ibārat nahīñ rahī
dekh ai 'rishī' kamāl-e-fusūn-e-jadīdiyat
ab ehtirām-e-fan kī zarūrat nahīñ rahī
ye bhi nahin ki un se mohabbat nahin rahi
ye bhi hai sach ki did ki hasrat nahin rahi
dil un ki is ada se bhi manus ho gaya
ab jaur-e-be-ruKHi ki shikayat nahin rahi
donon badalte waqt ke sanche mein Dhal gae
wo dil nahin raha wo tabiat nahin rahi
kya dekhte hain dekh ke pesh-e-nazar unhen
goya nigah mein did ki taqat nahin rahi
ab KHwab hi mein un se mulaqat ho to ho
milne ki un ki aur to surat nahin rahi
jab kuchh na the KHayal tha nam-o-numud ka
ab kuchh hue to KHwahish-e-shohrat nahin rahi
sad-haif zarf walwala-e-dil ke bawajud
pahli si wo jasarat-o-jurat nahin rahi
insaniyat ke nam ka charcha to hai magar
insaniyat amal se ibarat nahin rahi
dekh ai 'rishi' kamal-e-fusun-e-jadidiyat
ab ehtiram-e-fan ki zarurat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.