ye bhul jao ki Dar jaegi meri KHushbu
ye bhuul jaao ki Dar jā.egī mirī ḳhushbū
har ek samt ko mahkā.egī mirī ḳhushbū
yahāñ vahāñ ye uḌegī par apnī marzī se
havā ke ruḳh se na ghabrā.egī mirī ḳhushbū
maiñ apne baaġh meñ jab phuul ban ke mahkūñgā
tumhāre tak bhī pahuñch jā.egī mirī ḳhushbū
ye titliyāñ koī tūfāñ bikher de varna
isī qafas meñ simaT jā.egī mirī ḳhushbū
mujhe bhī vaqt kī āñdhī kā ilm hai 'ulfat'
magar ye sach hai ki shab aa.egī mirī ḳhushbū
ye bhul jao ki Dar jaegi meri KHushbu
har ek samt ko mahkaegi meri KHushbu
yahan wahan ye uDegi par apni marzi se
hawa ke ruKH se na ghabraegi meri KHushbu
main apne bagh mein jab phul ban ke mahkunga
tumhaare tak bhi pahunch jaegi meri KHushbu
ye titliyan koi tufan bikher de warna
isi qafas mein simaT jaegi meri KHushbu
mujhe bhi waqt ki aandhi ka ilm hai 'ulfat'
magar ye sach hai ki shab aaegi meri KHushbu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.