ye buri hai janab ki aadat
ye burī hai janāb kī aadat
chhoḌ diije sharāb kī aadat
barq kā kaam phūñknā gulshan
muskurānā gulāb kī aadat
ham nahīñ the to kis ne Daalī hai
ye savāl-o-javāb kī aadat
log sab jānte haiñ duniyā meñ
dil-e-ḳhāna-ḳharāb kī aadat
chand logoñ meñ ham ne dekhī hai
jāgne meñ bhī ḳhvāb kī aadat
raat kī dhun añdherā phailānā
raushnī āftāb kī aadat
dil-e-'mas.ūd' kī tarah yaaro
TuuT jaanā habāb kī aadat
ye buri hai janab ki aadat
chhoD dije sharab ki aadat
barq ka kaam phunkna gulshan
muskurana gulab ki aadat
hum nahin the to kis ne Dali hai
ye sawal-o-jawab ki aadat
log sab jaante hain duniya mein
dil-e-KHana-KHarab ki aadat
chand logon mein hum ne dekhi hai
jagne mein bhi KHwab ki aadat
raat ki dhun andhera phailana
raushni aaftab ki aadat
dil-e-'masud' ki tarah yaro
TuT jaana habab ki aadat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.