ye chehra hai gul hai ye gulshan hai kya hai
ye chehra hai gul hai ye gulshan hai kyā hai
saverā hai shabnam hai darpan hai kyā hai
chalī hai ye ḳhushbū tire gesuoñ se
tirī yaad hai terā dāman hai kyā hai
kiran husn kī chhan ke aane lagī hai
ye parda hai āñchal hai chilman hai kyā hai
nazar jhuk rahī hai ḳhamoshī hai lab par
hayā hai adā hai ki an-ban hai kyā hai
ye sharm aur tabassum ye āñkhoñ meñ kājal
adā hai kalī hai ki bachpan hai kyā hai
akele meñ ye phūTtī naġhmagī sī
ye aahaT hai koyal hai dhaḌkan hai kyā hai
namī hai fazāoñ meñ 'kausar' jī kahiye
ye gesū hai bādal hai sāvan hai kyā hai
ye chehra hai gul hai ye gulshan hai kya hai
sawera hai shabnam hai darpan hai kya hai
chali hai ye KHushbu tere gesuon se
teri yaad hai tera daman hai kya hai
kiran husn ki chhan ke aane lagi hai
ye parda hai aanchal hai chilman hai kya hai
nazar jhuk rahi hai KHamoshi hai lab par
haya hai ada hai ki an-ban hai kya hai
ye sharm aur tabassum ye aankhon mein kajal
ada hai kali hai ki bachpan hai kya hai
akele mein ye phuTti naghmagi si
ye aahaT hai koyal hai dhaDkan hai kya hai
nami hai fazaon mein 'kausar' ji kahiye
ye gesu hai baadal hai sawan hai kya hai
- Book : maazii ka aainda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.