ye chhoTa sa makan baghiya lagane kaun deta hai
ye chhoTā sā makāñ baġhiyā lagāne kaun detā hai
dar-o-dīvār par sabza ugāne kaun detā hai
kabhī nāzāñ the ham aañsū bahāne kaun detā hai
magar ai chashm-e-nam ab muskurāne kaun detā hai
mirī āñkhoñ ko ye sapne suhāne kaun detā hai
vo aa.egā dilāse dil ko jaane kaun detā hai
pata chaltā hai kaise mere un ke chhup ke milne kā
ḳhabar tujh ko hamārī ai zamāne kaun detā hai
nahīñ aanā nahīñ aanā yahī zid hai yahī zid hai
vo aa to jaa.eñ phir dekhūñ ki jaane kaun detā hai
tumheñ dil meñ basā rakhā hai merī sādgī dekho
zamāne meñ kisī ko sar chhupāne kaun detā hai
ḳhud apne dil se kah lete haiñ tanhā.ī meñ ġham apnā
tumhāre sāmne dukhḌe sunāne kaun detā hai
ye chhoTa sa makan baghiya lagane kaun deta hai
dar-o-diwar par sabza ugane kaun deta hai
kabhi nazan the hum aansu bahane kaun deta hai
magar ai chashm-e-nam ab muskurane kaun deta hai
meri aankhon ko ye sapne suhane kaun deta hai
wo aaega dilase dil ko jaane kaun deta hai
pata chalta hai kaise mere un ke chhup ke milne ka
KHabar tujh ko hamari ai zamane kaun deta hai
nahin aana nahin aana yahi zid hai yahi zid hai
wo aa to jaen phir dekhun ki jaane kaun deta hai
tumhein dil mein basa rakha hai meri sadgi dekho
zamane mein kisi ko sar chhupane kaun deta hai
KHud apne dil se kah lete hain tanhai mein gham apna
tumhaare samne dukhDe sunane kaun deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.