ye chhu kar mujhe kaun jaane laga
ye chhū kar mujhe kaun jaane lagā
badan meñ lahū sarsarāne lagā
huā jab bhī zikr-e-vafā bazm meñ
vo mujh se nigāheñ churāne lagā
jo soyā hai mujh meñ vo bedār ho
koī zarb aisī zamāne lagā
maiñ ab ḳhatm hotā huuñ ai zindagī
mirī ḳhaak ko le Thikāne lagā
maiñ harf-e-ġhalat to nahīñ ai 'zafar'
zamāna mujhe kyoñ miTāne lagā
ye chhu kar mujhe kaun jaane laga
badan mein lahu sarsarane laga
hua jab bhi zikr-e-wafa bazm mein
wo mujh se nigahen churane laga
jo soya hai mujh mein wo bedar ho
koi zarb aisi zamane laga
main ab KHatm hota hun ai zindagi
meri KHak ko le Thikane laga
main harf-e-ghalat to nahin ai 'zafar'
zamana mujhe kyon miTane laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.