ye chup se KHubsurat log aksar
ye chup se ḳhūbsūrat log aksar
ki de jaate haiñ dil kā rog aksar
zamīñ par kyoñ milan hone na paayā
agar uupar hue sanjog aksar
hamārā haath yuuñ us ne baTāyā
chugī us ne hamārī chog aksar
vo jin ko maut kī parvā nahīñ hai
unheñ miltā hai jīvan jog aksar
ye kaisī zindagī thī jiine vaalo
manāyā ham ne jis kā sog aksar
ye chup se KHubsurat log aksar
ki de jate hain dil ka rog aksar
zamin par kyon milan hone na paya
agar upar hue sanjog aksar
hamara hath yun us ne baTaya
chugi us ne hamari chog aksar
wo jin ko maut ki parwa nahin hai
unhen milta hai jiwan jog aksar
ye kaisi zindagi thi jine walo
manaya hum ne jis ka sog aksar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.