ye chupke chupke na thamne wali hansi to dekho
ye chupke chupke na thamne vaalī hañsī to dekho
vo saath hai to zarā hamārī ḳhushī to dekho
bahut hasīñ raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ik nazar chāñdnī to dekho
jagah jagah seel ke ye dhabbe ye sard bistar
hamāre kamre se dhuup kī be-ruḳhī to dekho
damak rahā huuñ abhī talak us ke dhyān se maiñ
bujhe hue ik ḳhayāl kī raushnī to dekho
ye āḳhirī vaqt aur ye be-hisī jahāñ kī
are mirā sard haath chhū kar koī to dekho
abhī bahut rañg haiñ jo tum ne nahīñ chhue haiñ
kabhī yahāñ aa ke gaañv kī zindagī to dekho
ye chupke chupke na thamne wali hansi to dekho
wo sath hai to zara hamari KHushi to dekho
bahut hasin raat hai magar tum to so rahe ho
nikal ke kamre se ek nazar chandni to dekho
jagah jagah seel ke ye dhabbe ye sard bistar
hamare kamre se dhup ki be-ruKHi to dekho
damak raha hun abhi talak us ke dhyan se main
bujhe hue ek KHayal ki raushni to dekho
ye aaKHiri waqt aur ye be-hisi jahan ki
are mera sard hath chhu kar koi to dekho
abhi bahut rang hain jo tum ne nahin chhue hain
kabhi yahan aa ke ganw ki zindagi to dekho
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 28)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.