ye daDhiyan ye tilak dhaariyan nahin chaltin
ye dāḌhiyāñ ye tilak dhāriyāñ nahīñ chaltīñ
hamāre ahd meñ makkāriyāñ nahīñ chaltīñ
qabīle vāloñ ke dil joḌiye mire sardār
saroñ ko kaaT ke sardāriyāñ nahīñ chaltīñ
burā na maan agar yaar kuchh burā kah de
diloñ ke khel meñ ḳhuddāriyāñ nahīñ chaltīñ
chhalak chhalak paḌīñ āñkhoñ kī gāgareñ aksar
sambhal sambhal ke ye panhāriyāñ nahīñ chaltīñ
janāb-e-'kaif' ye dillī hai 'mīr' o 'ġhālib' kī
yahāñ kisī kī taraf-dāriyāñ nahīñ chaltīñ
ye daDhiyan ye tilak dhaariyan nahin chaltin
hamare ahd mein makkariyan nahin chaltin
qabile walon ke dil joDiye mere sardar
saron ko kaT ke sardariyan nahin chaltin
bura na man agar yar kuchh bura kah de
dilon ke khel mein KHuddariyan nahin chaltin
chhalak chhalak paDin aankhon ki gagaren aksar
sambhal sambhal ke ye panhaariyan nahin chaltin
janab-e-'kaif' ye dilli hai 'mir' o 'ghaalib' ki
yahan kisi ki taraf-dariyan nahin chaltin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.