ye dam uske waqt-e-ruKHsat ba-sad-iztirab ulTa
ye dam uske waqt-e-ruKHsat ba-sad-iztirab ulTa
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
ye dam us ke vaqt-e-ruḳhsat ba-sad-iztirāb ulTā
ki ba-sū-e-dil mizha se vahīñ ḳhūn-e-nāb ulTā
sar-e-lauh us kī sūrat kahīñ likh gayā thā maanī
use dekh kar na maiñ ne varaq-e-kitāb ulTā
maiñ ajab ye rasm dekhī mujhe roz-e-īd-e-qurbāñ
vahī zab.h bhī kare aur vahī le savāb ulTā
ye ulaT ga.ī hai qismat ki jo dil kisī ko duuñ maiñ
vo mire hī sar se maare use kar ḳharāb ulTā
ye naqāb-posh zālim koī zor hai ki jis ne
kiye ḳhuun saikḌoñ aur na zarā naqāb ulTā
jo ba-vaqt-e-ġhusl apnā vo phirā le mauj se muñh
to phirāte hī muñh us ke lage bahne aab ulTā
maiñ likhā hai ḳhat to qāsid pa ye hogā mujh pe ehsāñ
inhīñ paañv aa.egā tū jo liye javāb ulTā
tire aage mehr-e-tābāñ hai zamīñ pe sar-ba-sajda
ye varaq kā ganjafe ke nahīñ āftāb ulTā
nahīñ jā-e-shikva us se hameñ 'mus.hafī' hamesha
ye zamāne kā rahā hai yūñhī inqalāb ulTā
ye dam us ke waqt-e-ruKHsat ba-sad-iztirab ulTa
ki ba-su-e-dil mizha se wahin KHun-e-nab ulTa
sar-e-lauh us ki surat kahin likh gaya tha mani
use dekh kar na main ne waraq-e-kitab ulTa
main ajab ye rasm dekhi mujhe roz-e-id-e-qurban
wahi zabh bhi kare aur wahi le sawab ulTa
ye ulaT gai hai qismat ki jo dil kisi ko dun main
wo mere hi sar se mare use kar KHarab ulTa
ye naqab-posh zalim koi zor hai ki jis ne
kiye KHun saikDon aur na zara naqab ulTa
jo ba-waqt-e-ghusl apna wo phira le mauj se munh
to phiraate hi munh us ke lage bahne aab ulTa
main likha hai KHat to qasid pa ye hoga mujh pe ehsan
inhin panw aaega tu jo liye jawab ulTa
tere aage mehr-e-taban hai zamin pe sar-ba-sajda
ye waraq ka ganjafe ke nahin aaftab ulTa
nahin ja-e-shikwa us se hamein 'mushafi' hamesha
ye zamane ka raha hai yunhi inqalab ulTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.