ye dasht-e-faramoshi Thaharne nahin deta
ye dasht-e-farāmoshī Thaharne nahīñ detā
lekin dar-e-ḳhvāhish ko bhī khulne nahīñ detā
ye rasm hai dīvār-o-dar-e-girya kī lekin
daryūza-gar-e-ḳhvāb to rone nahīñ detā
āshob hai aisā ki sarāsīma hai vahshat
ye ijz-e-bayāñ zaḳhm bhī dhone nahīñ detā
haañ manzil-e-ummīd bhī nazdīk thī lekin
ġham-ḳhāna-e-jānānāñ bahalne nahīñ detā
āñkhoñ meñ vahī ranj-e-asīrī hai musallat
jo hashr bapā honā thā hone nahīñ detā
be-nām rahī ḳhvāhish-e-dīdār hamesha
shabnam kī tarah vo mujhe hañsne nahīñ detā
āñgan meñ lahū dekh ke rotī nahīñ āñkheñ
ye dil to sulagtā hai pa jalne nahīñ detā
ye dasht-e-faramoshi Thaharne nahin deta
lekin dar-e-KHwahish ko bhi khulne nahin deta
ye rasm hai diwar-o-dar-e-girya ki lekin
daryuza-gar-e-KHwab to rone nahin deta
aashob hai aisa ki sarasima hai wahshat
ye ijz-e-bayan zaKHm bhi dhone nahin deta
han manzil-e-ummid bhi nazdik thi lekin
gham-KHana-e-jaananan bahalne nahin deta
aankhon mein wahi ranj-e-asiri hai musallat
jo hashr bapa hona tha hone nahin deta
be-nam rahi KHwahish-e-didar hamesha
shabnam ki tarah wo mujhe hansne nahin deta
aangan mein lahu dekh ke roti nahin aankhen
ye dil to sulagta hai pa jalne nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.