ye dil aawezi-e-hayat na ho
ye dil āvezī-e-hayāt na ho
agar āhañg-e-hādsāt na ho
terī nārāzgī qubūl magar
ye bhī kyā bhuul kar bhī baat na ho
ziist meñ vo ghaḌī na aa.e ki jab
haat meñ mere terā haat na ho
hañsne vaale rulā na auroñ ko
sub.h terī kisī kī raat na ho
ishq bhī kaam kī hai chiiz agar
yahī bas dil kī kā.enāt na ho
kaun us kī jafā kī laa.e taab
gaahe gaahe jo iltifāt na ho
rind kuchh kar rahe haiñ sargoshī
zikr-e-'mullā' se ḳhush-sifāt na ho
ye dil aawezi-e-hayat na ho
agar aahang-e-hadsat na ho
teri naraazgi qubul magar
ye bhi kya bhul kar bhi baat na ho
zist mein wo ghaDi na aae ki jab
hat mein mere tera hat na ho
hansne wale rula na auron ko
subh teri kisi ki raat na ho
ishq bhi kaam ki hai chiz agar
yahi bas dil ki kaenat na ho
kaun us ki jafa ki lae tab
gahe gahe jo iltifat na ho
rind kuchh kar rahe hain sargoshi
zikr-e-'mulla' se KHush-sifat na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.