ye dil ab mujhse thoDi der sustane ko kahta hai
ye dil ab mujh se thoḌī der sustāne ko kahtā hai
aur āñhkeñ muuñd kar har baat dohrāne ko kahtā hai
hamārī gumrahī kī baat hī chhoḌo ki har jaada
kahīñ tak ḳhud ko ab ham se hī pahuñchāne ko kahtā hai
rahī ho vaj.h koī bhī alag to ho ga.e the sab
ye mujh meñ kaun phir sab ko bulā laane ko kahtā hai
mirī mushkil ko lekin koī jaane bhī to kyā jaane
qadam jo bhī baḌhātā huuñ palaT aane ko kahtā hai
rahā yuuñ umr bhar jā-e-amāñ paane ko sar-gardāñ
mirā saaya bhī ab mujh meñ samā jaane ko kahtā hai
bahut arsa huā mahsūs tak ham ko kiye aisā
koī ham ko akelā chhoḌ kar jaane ko kahtā hai
kahīñ ham aa.eñ jaa.eñ to zarā khul jaa.eñ bhī ḳhud par
yahāñ har saañs jaise ḳhud se katrāne ko kahtā hai
idhar sach hai akelā chal rahā hai khoyā khoyā sā
barābar chal rahā hai jhuuT apnāne ko kahtā hai
yahīñ ham ghar meñ hote haiñ to phir kyuuñ 'talḳh' aisā hai
har ik lamha hameñ jis tarah ghar aane ko kahtā hai
ye dil ab mujh se thoDi der sustane ko kahta hai
aur aanhken mund kar har baat dohrane ko kahta hai
hamari gumrahi ki baat hi chhoDo ki har jada
kahin tak KHud ko ab hum se hi pahunchane ko kahta hai
rahi ho wajh koi bhi alag to ho gae the sab
ye mujh mein kaun phir sab ko bula lane ko kahta hai
meri mushkil ko lekin koi jaane bhi to kya jaane
qadam jo bhi baDhata hun palaT aane ko kahta hai
raha yun umr bhar ja-e-aman pane ko sar-gardan
mera saya bhi ab mujh mein sama jaane ko kahta hai
bahut arsa hua mahsus tak hum ko kiye aisa
koi hum ko akela chhoD kar jaane ko kahta hai
kahin hum aaen jaen to zara khul jaen bhi KHud par
yahan har sans jaise KHud se katrane ko kahta hai
idhar sach hai akela chal raha hai khoya khoya sa
barabar chal raha hai jhuT apnane ko kahta hai
yahin hum ghar mein hote hain to phir kyun 'talKH' aisa hai
har ek lamha hamein jis tarah ghar aane ko kahta hai
- Book : Waseela (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.