ye dil bas mein kabhi mere raha nain
ye dil bas meñ kabhī mere rahā na.iiñ
kabhī yādoñ kā dāman chhoḌtā na.iiñ
bhulā.eñ kaise amrohe kī galiyāñ
abhī lahje se amroha gayā na.iiñ
yahīñ gum-karda apnā āshiyāñ thā
jahāñ baaqī koī ab āshnā na.iiñ
shikasta ho chuke mehrāb-o-dar sab
abhī tak zehn se naqsha gayā na.iiñ
hamāre naam kī taḳhtī nahīñ hai
magar vo ghar to ḳhvāboñ se gayā na.iiñ
maiñ samjhūñ huuñ tumhārī be-qarārī
miyāñ guzrā zamāna lauTtā na.iiñ
kisī saffāk hijrat ke sitam se
zamīñ se apnā rishta TūTtā na.iiñ
tumhārī shā.irāna be-ḳhudī ko
kisī sarhad pe koī roktā na.iiñ
bahut thī dhuum jashn-e-reḳhta meñ
tumhāre naam kī tum ne sunā na.iiñ
tumhārī shā.irī par sar dhune haiñ
magar ye log urdu āshnā na.iiñ
paḌī hai shā.irī ghuTTī meñ 'azrā'
magar kuchh mo'atabar ab tak kahā na.iiñ
ye dil bas mein kabhi mere raha nain
kabhi yaadon ka daman chhoDta nain
bhulaen kaise amrohe ki galiyan
abhi lahje se amroha gaya nain
yahin gum-karda apna aashiyan tha
jahan baqi koi ab aashna nain
shikasta ho chuke mehrab-o-dar sab
abhi tak zehn se naqsha gaya nain
hamare nam ki taKHti nahin hai
magar wo ghar to KHwabon se gaya nain
main samjhun hun tumhaari be-qarari
miyan guzra zamana lauTta nain
kisi saffak hijrat ke sitam se
zamin se apna rishta TuTta nain
tumhaari shairana be-KHudi ko
kisi sarhad pe koi rokta nain
bahut thi dhum jashn-e-reKHta mein
tumhaare nam ki tum ne suna nain
tumhaari shairi par sar dhune hain
magar ye log urdu aashna nain
paDi hai shairi ghuTTi mein 'azra'
magar kuchh mo'atabar ab tak kaha nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.