ye dil bhi to Dubega samundar mein kisi ke
ye dil bhī to Dūbegā samundar meñ kisī ke
ham bhī to likhe hoñge muqaddar meñ kisī ke
us dil ke bahut paas na is dil se bahut duur
baiThe hue ham hoñge barābar meñ kisī ke
ab us ke binā yuuñ haiñ shab-o-roz hamāre
jaise koī darvāza na ho ghar meñ kisī ke
shāyad ki kisī misra-e-ḳhush-rañg kī sūrat
ham bhī nazar aa jā.eñge manzar meñ kisī ke
ye dil bhi to Dubega samundar mein kisi ke
hum bhi to likhe honge muqaddar mein kisi ke
us dil ke bahut pas na is dil se bahut dur
baiThe hue hum honge barabar mein kisi ke
ab us ke bina yun hain shab-o-roz hamare
jaise koi darwaza na ho ghar mein kisi ke
shayad ki kisi misra-e-KHush-rang ki surat
hum bhi nazar aa jaenge manzar mein kisi ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.