ye dil bhulata nahin hai mohabbaten uski
ye dil bhulātā nahīñ hai mohabbateñ us kī
paḌī huī thiiñ mujhe kitnī ādateñ us kī
ye merā saarā safar us kī ḳhushbuoñ meñ kaTā
mujhe to raah dikhātī thiiñ chāhateñ us kī
ghirī huī huuñ maiñ chehroñ kī bhiiḌ meñ lekin
kahīñ nazar nahīñ ātīñ shabāhateñ us kī
maiñ duur hone lagī huuñ to aisā lagtā hai
ki chhāñv jaisī thiiñ mujh par rifāqateñ us kī
ye kis galī meñ ye kis shahr meñ nikal aa.e
kahāñ pe rah ga.iiñ logo sadāqateñ us kī
maiñ bārishoñ meñ judā ho ga.ī huuñ us se magar
ye merā dil mirī sāñseñ amānateñ us kī
ye dil bhulata nahin hai mohabbaten us ki
paDi hui thin mujhe kitni aadaten us ki
ye mera sara safar us ki KHushbuon mein kaTa
mujhe to rah dikhati thin chahaten us ki
ghiri hui hun main chehron ki bhiD mein lekin
kahin nazar nahin aatin shabahaten us ki
main dur hone lagi hun to aisa lagta hai
ki chhanw jaisi thin mujh par rifaqaten us ki
ye kis gali mein ye kis shahr mein nikal aae
kahan pe rah gain logo sadaqaten us ki
main barishon mein juda ho gai hun us se magar
ye mera dil meri sansen amanaten us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.