ye dil duniya se baz aane laga hai
ye dil duniyā se baaz aane lagā hai
ki ab siine meñ raaz aane lagā hai
azaañ hone lagī mehrāb-e-jāñ meñ
mirā vaqt-e-namāz aane lagā hai
yuuñ hī ik zaḳhm par de dī thī islāh
so ab le kar bayāz aane lagā hai
bahut se zaḳhm the ab sirf ik zaḳhm
lahū meñ irtikāz aane lagā hai
bahut ab ho chukī duniyā se yaarī
udhar se e'tirāz aane lagā hai
bahut kaarī hai ab ke aql kā vaar
junūñ ko imtiyāz aane lagā hai
ye dil duniya se baz aane laga hai
ki ab sine mein raaz aane laga hai
azan hone lagi mehrab-e-jaan mein
mera waqt-e-namaz aane laga hai
yun hi ek zaKHm par de di thi islah
so ab le kar bayaz aane laga hai
bahut se zaKHm the ab sirf ek zaKHm
lahu mein irtikaz aane laga hai
bahut ab ho chuki duniya se yari
udhar se e'tiraaz aane laga hai
bahut kari hai ab ke aql ka war
junun ko imtiyaz aane laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.