ye dil fareb-e-tamanna mein be-qarar kiya
ye dil fareb-e-tamannā meñ be-qarār kiyā
yahī hai jurm jise ham ne bār-bār kiyā
na ham ne sūd-o-ziyāñ dekh kar mohabbat kī
na nafratoñ kā kabhī ham ne kārobār kiyā
shikasta-rūh sulagtī nigah dil-e-mahjūr
na pūchh kaise har ik zaḳhm kā shumār kiyā
tire jamāl-e-nazar ne diyā fareb hameñ
usī fareb-e-nazar ne hai ashk-bār kiyā
navā-e-sub.h-e-azal terī chaah meñ ham ne
na pūchh dast-e-ḳhamoshāñ ko kaise paar kiyā
nazar na aa.ī haqīqat majāz kī sūrat
nigāh-e-shauq ne paiham ye intizār kiyā
girī thī barq-e-tajallī jo qalb par mere
usī ne rāz-e-haqīqat ko āshkār kiyā
sahar kī aas meñ guzrī 'sabā' ye umr tamām
harīm-e-zīst kā zulmat ne yuuñ hisār kiyā
ye dil fareb-e-tamanna mein be-qarar kiya
yahi hai jurm jise hum ne bar-bar kiya
na hum ne sud-o-ziyan dekh kar mohabbat ki
na nafraton ka kabhi hum ne karobar kiya
shikasta-ruh sulagti nigah dil-e-mahjur
na puchh kaise har ek zaKHm ka shumar kiya
tere jamal-e-nazar ne diya fareb hamein
usi fareb-e-nazar ne hai ashk-bar kiya
nawa-e-subh-e-azal teri chah mein hum ne
na puchh dast-e-KHamoshan ko kaise par kiya
nazar na aai haqiqat majaz ki surat
nigah-e-shauq ne paiham ye intizar kiya
giri thi barq-e-tajalli jo qalb par mere
usi ne raaz-e-haqiqat ko aashkar kiya
sahar ki aas mein guzri 'saba' ye umr tamam
harim-e-zist ka zulmat ne yun hisar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.