ye dil-katha hai adakar tere bas mein nahin
ye dil-kathā hai adākār tere bas meñ nahīñ
maiñ ḳhuun thūktā kirdār tere bas meñ nahīñ
maiñ māntā huuñ ki tujh ko bhulā nahīñ saktā
mujhe bhulānā bhī ai yaar tere bas meñ nahīñ
hai roz bārgah-e-dil meñ aag par mātam
ye ġham manānā 'azā-dār tere bas meñ nahīñ
mire ḳhudā ho mujhe bhī bashārat-e-baḳhshish
nahīñ ki mujh sā gunahgār tere bas meñ nahīñ
mirī nazar meñ haiñ uslūb-e-naqd-o-fikr-o-suḳhan
mire vujūd kā inkār tere bas meñ nahīñ
ye dil-katha hai adakar tere bas mein nahin
main KHun thukta kirdar tere bas mein nahin
main manta hun ki tujh ko bhula nahin sakta
mujhe bhulana bhi ai yar tere bas mein nahin
hai roz bargah-e-dil mein aag par matam
ye gham manana 'aza-dar tere bas mein nahin
mere KHuda ho mujhe bhi bashaarat-e-baKHshish
nahin ki mujh sa gunahgar tere bas mein nahin
meri nazar mein hain uslub-e-naqd-o-fikr-o-suKHan
mere wujud ka inkar tere bas mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.