ye dil mera mere pahlu se anqarib chala
ye dil mirā mire pahlū se anqarīb chalā
shikast khā ke ġhamoñ se mirā raqīb chalā
jab un kī bazm se uTh kar koī ġharīb chalā
fazā.eñ chīḳh uThīñ husn kā naqīb chalā
vo phir sameT ke bāñhoñ meñ kā.enāt kā rañg
gale surāhī se mil kar mirā habīb chalā
jahāñ jahāñ mutasādim huī junūñ se ḳhirad
baḌī adā se vahāñ ḳhāma-e-adīb chalā
chhalakne vaalā hai shāyad mirī hayāt kā jaam
ye laḌkhaḌātā huā kyoñ mirā tabīb chalā
masā.il-e-ġham-e-hastī ko aur uljhāne
vo 'hosh' jānib-e-manzil koī ḳhatīb chalā
ye dil mera mere pahlu se anqarib chala
shikast kha ke ghamon se mera raqib chala
jab un ki bazm se uTh kar koi gharib chala
fazaen chiKH uThin husn ka naqib chala
wo phir sameT ke banhon mein kaenat ka rang
gale surahi se mil kar mera habib chala
jahan jahan mutasadim hui junun se KHirad
baDi ada se wahan KHama-e-adib chala
chhalakne wala hai shayad meri hayat ka jam
ye laDkhaData hua kyon mera tabib chala
masail-e-gham-e-hasti ko aur uljhane
wo 'hosh' jaanib-e-manzil koi KHatib chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.