ye din bhi amiron ka aur raat amiron ki
ye din bhī amīroñ kā aur raat amīroñ kī
sūkhā bhī amīroñ kā barsāt amīroñ kī
mehnat ke parinde gar haḌtāl pe aa jaa.eñ
pal-bhar meñ batā deñge auqāt amīroñ kī
mehnat se mashaqqat se taqdīr badal leñge
manzūr nahīñ ham ko ḳhairāt amīroñ kī
mazdūr kā lashkar hai āmāda baġhāvat pe
duniyā ko ḳhabar kar do hai maat amīroñ kī
ye din bhi amiron ka aur raat amiron ki
sukha bhi amiron ka barsat amiron ki
mehnat ke parinde gar haDtal pe aa jaen
pal-bhar mein bata denge auqat amiron ki
mehnat se mashaqqat se taqdir badal lenge
manzur nahin hum ko KHairaat amiron ki
mazdur ka lashkar hai aamada baghawat pe
duniya ko KHabar kar do hai mat amiron ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.