ye dua kash pur-asar ho jae
ye duā kaash pur-asar ho jaa.e
merā har ḳhvāb mo'atabar ho jaa.e
pyāsī pyāsī sī zindagī kī zamīñ
terī yādoñ se tar-ba-tar ho jaa.e
zikr terā ho fikr terī ho
umr kuchh is tarah basar ho jaa.e
badleñ tārīkiyāñ ujāloñ se
qurb hāsil tirā agar ho jaa.e
abr-e-rahmat hai pyāsā pyāsā dil
is taraf bhī to ik nazar ho jaa.e
dil ko mere sambhāl le maulā
is se pahle ki dar-ba-dar ho jaa.e
hai vahī hoshiyār 'nīlam' jo
maut se pahle bā-ḳhabar ho jaa.e
ye dua kash pur-asar ho jae
mera har KHwab mo'atabar ho jae
pyasi pyasi si zindagi ki zamin
teri yaadon se tar-ba-tar ho jae
zikr tera ho fikr teri ho
umr kuchh is tarah basar ho jae
badlen tarikiyan ujalon se
qurb hasil tera agar ho jae
abr-e-rahmat hai pyasa pyasa dil
is taraf bhi to ek nazar ho jae
dil ko mere sambhaal le maula
is se pahle ki dar-ba-dar ho jae
hai wahi hoshiyar 'nilam' jo
maut se pahle ba-KHabar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.