ye ek din ka nahin tajraba hai barson ka
ye ek din kā nahīñ tajraba hai barsoñ kā
kabhī samajh meñ na aayā ḳhitāb āñkhoñ kā
huzūr aap bhī to is qadar ziyāda haiñ
shumār kaun kare kam-nazar harīfoñ kā
'adāvateñ hī sahī kuchh to ho 'ayāñ ham par
bahut hī saḳht hai ye marhala hijāboñ kā
jo baat dil meñ nahīñ thī zabāñ pe aa.ī hai
galā na ghoñT de ye vaqt ab dalīloñ kā
ye ek din ka nahin tajraba hai barson ka
kabhi samajh mein na aaya KHitab aankhon ka
huzur aap bhi to is qadar ziyaada hain
shumar kaun kare kam-nazar harifon ka
'adawaten hi sahi kuchh to ho 'ayan hum par
bahut hi saKHt hai ye marhala hijabon ka
jo baat dil mein nahin thi zaban pe aai hai
gala na ghonT de ye waqt ab dalilon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.