ye ghazal si nigahen ye shabab ye adaen
ye ġhazāl sī nigāheñ ye shabāb ye adā.eñ
tū to ḳhud hī ik ġhazal hai tujhe kyā ġhazal sunā.eñ
tujhe ek baar dekhā to ye dil ne dī du'ā.eñ
tujhe bār-bār dekheñ tujhe dekhte hī jaa.eñ
ye siyāhī kyā utāre chhavī ruup kī tumhāre
chalo indr se dhanush ke sabhī rang maañg laa.eñ
tire lab khuleñ sanam jab to kalī ko laaj aa.e
uḌe zulf jab havā meñ to ghaTā.eñ sar jhukā.eñ
tū sañvār zulf-e-shab-gūñ ye do nain rakh ke aage
ki majāl kyā hamārī tujhe aa.ina dikhā.eñ
mire bol be-navā haiñ tire saaz be-sadā haiñ
chalo sur meñ sur milā ke na.ī bandisheñ banā.eñ
ye ghazal si nigahen ye shabab ye adaen
tu to KHud hi ek ghazal hai tujhe kya ghazal sunaen
tujhe ek bar dekha to ye dil ne di du'aen
tujhe bar-bar dekhen tujhe dekhte hi jaen
ye siyahi kya utare chhawi rup ki tumhaare
chalo indr se dhanush ke sabhi rang mang laen
tere lab khulen sanam jab to kali ko laj aae
uDe zulf jab hawa mein to ghaTaen sar jhukaen
tu sanwar zulf-e-shab-gun ye do nain rakh ke aage
ki majal kya hamari tujhe aaina dikhaen
mere bol be-nawa hain tere saz be-sada hain
chalo sur mein sur mila ke nai bandishen banaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.