ye ghaTaon ka taqaza hai ki saqi mai la
ye ghaTāoñ kā taqāza hai ki saaqī mai lā
aaj mai-ḳhāroñ kā bhī dast-e-talab hai phailā
baat qismat kī hai shikva bhī kareñ to kis se
ham ko hamdard mile aise ki dil hai mailā
sāġhar-e-mai jo nahīñ hai na sahī zahr sahī
sāqiyā dil mirā muztar hai koī bhī shai lā
koī nākām sidhārā hai jahāñ se shāyad
'ālam-e-'ishq meñ jo aaj hai ye vāvailā
bandagī meñ tujhe lazzat jo mayassar na huī
tū bhī mailā hai tirā dil bhī hai zāhid mailā
'ishq kī raah bhī āsān nahīñ hai 'salmān'
rahā nākām jo majnūñ to pareshāñ lailā
ye ghaTaon ka taqaza hai ki saqi mai la
aaj mai-KHaron ka bhi dast-e-talab hai phaila
baat qismat ki hai shikwa bhi karen to kis se
hum ko hamdard mile aise ki dil hai maila
saghar-e-mai jo nahin hai na sahi zahr sahi
saqiya dil mera muztar hai koi bhi shai la
koi nakaam sidhaara hai jahan se shayad
'alam-e-'ishq mein jo aaj hai ye wawaila
bandagi mein tujhe lazzat jo mayassar na hui
tu bhi maila hai tera dil bhi hai zahid maila
'ishq ki rah bhi aasan nahin hai 'salman'
raha nakaam jo majnun to pareshan laila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.