ye ghunghaT kya burqa kya rida kya
ye ghūñghaT kyā burqā kyā ridā kyā
uThā jab aañkh kā parda rahā kyā
ye sach hai peT hī ḳhālī agar ho
kisī kā ġhamza-o-nāz-o-adā kyā
havā gar jail kī khaa.e na leader
use khaddar pahanñe kā mazā kyā
mohazzab hī rahe ta.alīm ke baad
to phir schōl meñ tum ne paḌhā kyā
ho dāḳhil jab havā meñ oxigen
abas koī kare fikr-e-ġhizā kyā
uThā kar pī liyā ik jām-e-rañgīñ
faqat ḳhushbū hī us kī sūñghtā kyā
nahīñ maañ baap kī izzat salāmat
chachī kyā chiiz hai 'hāshim' chachā kyā
ye ghunghaT kya burqa kya rida kya
uTha jab aankh ka parda raha kya
ye sach hai peT hi KHali agar ho
kisi ka ghamza-o-naz-o-ada kya
hawa gar jail ki khae na leader
use khaddar pahanne ka maza kya
mohazzab hi rahe talim ke baad
to phir school mein tum ne paDha kya
ho daKHil jab hawa mein oxigen
abas koi kare fikr-e-ghiza kya
uTha kar pi liya ek jam-e-rangin
faqat KHushbu hi us ki sunghta kya
nahin man bap ki izzat salamat
chachi kya chiz hai 'hashim' chacha kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.