ye hadsa bhi tere shahr mein hua hoga
ye hādsa bhī tire shahr meñ huā hogā
tamām shahr mujhe DhūñDhtā phirā hogā
maiñ is ḳhayāl se aksar udaas rahtā huuñ
koī judā.ī kī sadiyāñ guzārtā hogā
chalo ki shahr kī saḌkeñ kahīñ na so jaa.eñ
ab is ujaaḌ havelī meñ kyā rakhā hogā
tumhārī bazm se nikle to ham ne ye sochā
zamīñ se chāñd talak kitnā fāsla hogā
zarā sī der ko sone se fā.eda 'āzar'
tumheñ to roz isī tarah jāgnā hogā
ye hadsa bhi tere shahr mein hua hoga
tamam shahr mujhe DhunDhta phira hoga
main is KHayal se aksar udas rahta hun
koi judai ki sadiyan guzarta hoga
chalo ki shahr ki saDken kahin na so jaen
ab is ujaD haweli mein kya rakha hoga
tumhaari bazm se nikle to hum ne ye socha
zamin se chand talak kitna fasla hoga
zara si der ko sone se faeda 'azar'
tumhein to roz isi tarah jagna hoga
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.