ye hadon hisar ki saaten ye mutalbe ye qabahaten
ye hadoñ hisār kī sā.ateñ ye mutālbe ye qabāhateñ
jo na hoñ paloñ meñ baTī huī usī ek kal kī talāsh hai
kahīñ aala ek machine kā kahīñ Dārvin kā hai būznā
kabhī phir se ban sake aadmī usī ek kal kī talāsh hai
maiñ musir nahīñ kisī sat.h par kisī taur par kisī tarah par
jo de ek lamhe kī niiñd hī usī ek kal kī talāsh hai
mirā kal bhī thā mirā aaj hai ye alag alag sā mizāj hai
jo tirī razā se nasīb ho usī ek kal kī talāsh hai
ye hadon hisar ki saaten ye mutalbe ye qabahaten
jo na hon palon mein baTi hui usi ek kal ki talash hai
kahin aala ek machine ka kahin Darwin ka hai buzna
kabhi phir se ban sake aadmi usi ek kal ki talash hai
main musir nahin kisi sath par kisi taur par kisi tarah par
jo de ek lamhe ki nind hi usi ek kal ki talash hai
mera kal bhi tha mera aaj hai ye alag alag sa mizaj hai
jo teri raza se nasib ho usi ek kal ki talash hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.