ye hai aab-e-rawan na Thahrega
ye hai āb-e-ravāñ na Thahregā
umr kā kārvāñ na Thahregā
chhoḌ dī hai jagah sutūnoñ ne
sar pe ab sā.ebāñ na Thahregā
ret par hai asar havāoñ kā
koī nām-o-nishāñ na Thahregā
har qadam jo tumhārī samt uThā
sa.ī-e-rā.egāñ na Thahregā
marhala aa gayā tasādum kā
fāsla darmiyāñ na Thahregā
dil kā saudā hai kār-e-dil-dārāñ
farq-e-sūd-o-ziyāñ na Thahregā
kyoñ sunāte ho sab ko haal apnā
har koī rāzdāñ na Thahregā
chhoḌ degī zamīn mehvar ko
mustaqil āsmāñ na Thahregā
apnī āñkhoñ meñ aaj use bhar lo
der tak ye samāñ na Thahregā
juz terī mahfiloñ ke aur kahīñ
'ābid'-e-nā-tavāñ Thahre Thahregā
ye hai aab-e-rawan na Thahrega
umr ka karwan na Thahrega
chhoD di hai jagah sutunon ne
sar pe ab saeban na Thahrega
ret par hai asar hawaon ka
koi nam-o-nishan na Thahrega
har qadam jo tumhaari samt uTha
sai-e-raegan na Thahrega
marhala aa gaya tasadum ka
fasla darmiyan na Thahrega
dil ka sauda hai kar-e-dil-daran
farq-e-sud-o-ziyan na Thahrega
kyon sunate ho sab ko haal apna
har koi raazdan na Thahrega
chhoD degi zamin mehwar ko
mustaqil aasman na Thahrega
apni aankhon mein aaj use bhar lo
der tak ye saman na Thahrega
juz teri mahfilon ke aur kahin
'abid'-e-na-tawan Thahre Thahrega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.