ye hai mai-kada yahan rind hain yahan sab ka saqi imam hai
ye hai mai-kada yahan rind hain yahan sab ka saqi imam hai
Jigar Moradabadi
MORE BYJigar Moradabadi
ye hai mai-kada yahāñ rind haiñ yahāñ sab kā saaqī imaam hai
ye haram nahīñ hai ai shaiḳh jī yahāñ pārsā.ī harām hai
jo zarā sī pī ke bahak gayā use mai-kade se nikāl do
yahāñ tañg-nazar kā guzar nahīñ yahāñ ahl-e-zarf kā kaam hai
koī mast hai koī tishna-lab to kisī ke haath meñ jaam hai
magar is pe koī kare bhī kyā ye to mai-kade kā nizām hai
ye janāb-e-shaiḳh kā falsafa hai ajiib saare jahān se
jo vahāñ piyo to halāl hai jo yahāñ piyo to harām hai
isī kā.enāt meñ ai 'jigar' koī inqalāb uThegā phir
ki buland ho ke bhī aadmī abhī ḳhvāhishoñ kā ġhulām hai
ye hai mai-kada yahan rind hain yahan sab ka saqi imam hai
ye haram nahin hai ai shaiKH ji yahan parsai haram hai
jo zara si pi ke bahak gaya use mai-kade se nikal do
yahan tang-nazar ka guzar nahin yahan ahl-e-zarf ka kaam hai
koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke hath mein jam hai
magar is pe koi kare bhi kya ye to mai-kade ka nizam hai
ye janab-e-shaiKH ka falsafa hai ajib sare jahan se
jo wahan piyo to halal hai jo yahan piyo to haram hai
isi kaenat mein ai 'jigar' koi inqalab uThega phir
ki buland ho ke bhi aadmi abhi KHwahishon ka ghulam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.