ye hai to sab ke liye ho ye zid hamari hai
ye hai to sab ke liye ho ye zid hamārī hai
is ek baat pe duniyā se jañg jaarī hai
uḌaan vaalo uḌānoñ pe vaqt bhārī hai
paroñ kī ab ke nahīñ hausloñ kī baarī hai
maiñ qatra ho ke bhī tūfāñ se jañg letā huuñ
mujhe bachānā samundar kī zimmedārī hai
isī se jalte haiñ sahrā-e-ārzū meñ charāġh
ye tishnagī to mujhe zindagī se pyārī hai
koī batā.e ye us ke ġhurūr-e-bejā ko
vo jañg maiñ ne laḌī hī nahīñ jo haarī hai
har ek saañs pe pahrā hai be-yaqīnī kā
ye zindagī to nahīñ maut kī savārī hai
duā karo ki salāmat rahe mirī himmat
ye ik charāġh ka.ī āñdhiyoñ pe bhārī hai
ye hai to sab ke liye ho ye zid hamari hai
is ek baat pe duniya se jang jari hai
uDan walo uDanon pe waqt bhaari hai
paron ki ab ke nahin hauslon ki bari hai
main qatra ho ke bhi tufan se jang leta hun
mujhe bachana samundar ki zimmedari hai
isi se jalte hain sahra-e-arzu mein charagh
ye tishnagi to mujhe zindagi se pyari hai
koi batae ye us ke ghurur-e-beja ko
wo jang main ne laDi hi nahin jo haari hai
har ek sans pe pahra hai be-yaqini ka
ye zindagi to nahin maut ki sawari hai
dua karo ki salamat rahe meri himmat
ye ek charagh kai aandhiyon pe bhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.