ye hain tairak magar haal ye in ke dekhe
ye haiñ tairāk magar haal ye in ke dekhe
ġharq hote hue tūfān meñ tinke dekhe
chhīn lete haiñ jo insān se ehsās-e-nazar
vo añdhere kisī shab ke nahīñ din ke dekhe
aa gayā yaad unheñ apne kisī ġham kā hisāb
hañsne vāloñ ne mire ashk jo gin ke dekhe
vo ajab shaan kā ghar hai ki jahāñ par sab log
ek hī shakl ke aur ek hī sin ke dekhe
ye ġhalat hai ki ridā le ke sitamgāroñ ne
un ke muñh dekh liye paañv na jin ke dekhe
ye hain tairak magar haal ye in ke dekhe
gharq hote hue tufan mein tinke dekhe
chhin lete hain jo insan se ehsas-e-nazar
wo andhere kisi shab ke nahin din ke dekhe
aa gaya yaad unhen apne kisi gham ka hisab
hansne walon ne mere ashk jo gin ke dekhe
wo ajab shan ka ghar hai ki jahan par sab log
ek hi shakl ke aur ek hi sin ke dekhe
ye ghalat hai ki rida le ke sitamgaron ne
un ke munh dekh liye panw na jin ke dekhe
- Book : Etemaad (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.