ye hum jo aaine chamka rahe hain
ye ham jo aa.ine chamkā rahe haiñ
kisī khiḌkī pe khulne jā rahe haiñ
hamārī niiñd ghaTtī jā rahī hai
tumhāre ḳhvāb kis ko aa rahe haiñ
tamāshā ḳhatm hone jā rahā hai
hamāre saañp ham ko khā rahe haiñ
hamāre paañv kī rassī se pūchho
ki ham kyoñ gardaneñ kaTvā rahe haiñ
purānī dushmanī taaza huī hai
jo dariyā dasht se ghabrā rahe haiñ
vahī ik mas.ala jo pahle bhī thā
añdhere se diye katrā rahe haiñ
ye hum jo aaine chamka rahe hain
kisi khiDki pe khulne ja rahe hain
hamari nind ghaTti ja rahi hai
tumhaare KHwab kis ko aa rahe hain
tamasha KHatm hone ja raha hai
hamare sanp hum ko kha rahe hain
hamare panw ki rassi se puchho
ki hum kyon gardanen kaTwa rahe hain
purani dushmani taza hui hai
jo dariya dasht se ghabra rahe hain
wahi ek masala jo pahle bhi tha
andhere se diye katra rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.