ye haqiqat hai ki hota hai asar baaton mein
ye haqīqat hai ki hotā hai asar bātoñ meñ
tum bhī khul jāoge do chaar mulāqātoñ meñ
tum se sadiyoñ kī vafāoñ kā koī naata thā
tum se milne kī lakīreñ thī mire hāthoñ meñ
tere va.adoñ ne hameñ ghar se nikalne na diyā
log mausam kā maza le ga.e barsātoñ meñ
ab na sūraj na sitāra hai na sham.a hai na chāñd
apne zaḳhmoñ kā ujālā hai ghanī rātoñ meñ
ye haqiqat hai ki hota hai asar baaton mein
tum bhi khul jaoge do chaar mulaqaton mein
tum se sadiyon ki wafaon ka koi nata tha
tum se milne ki lakiren thi mere hathon mein
tere wadon ne hamein ghar se nikalne na diya
log mausam ka maza le gae barsaton mein
ab na suraj na sitara hai na shama hai na chand
apne zaKHmon ka ujala hai ghani raaton mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.