ye hare peD jo pani pe jhuke hote hain
ye hare peḌ jo paanī pe jhuke hote haiñ
shaam hote hī gañvā dete haiñ bīnā.ī bhī
go ki ḳhāmosh hī rahtī hai umūman lekin
chīḳh uThtī hai kabhī hijr meñ tanhā.ī bhī
vo tire ḳhvāb thī ābād jahāñ ik duniyā
kyā vo duniyā mujhe kho kar tujhe raas aa.ī bhī
surma.ī raat meñ ik zaḳhm khilā rahtā hai
vo gayā vaqt mayassar thī masīhā.ī bhī
ek dukh jis meñ ka.ī zard manāzir kī thakan
maañd paḌ jaa.eñ jahāñ rañg bhī ra.anā.ī bhī
ye hare peD jo pani pe jhuke hote hain
sham hote hi ganwa dete hain binai bhi
go ki KHamosh hi rahti hai umuman lekin
chiKH uThti hai kabhi hijr mein tanhai bhi
wo tere KHwab thi aabaad jahan ek duniya
kya wo duniya mujhe kho kar tujhe ras aai bhi
surmai raat mein ek zaKHm khila rahta hai
wo gaya waqt mayassar thi masihai bhi
ek dukh jis mein kai zard manazir ki thakan
mand paD jaen jahan rang bhi ranai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.