ye hasin fitrat ke husn ka anila-pan
ye hasīn fitrat ke husn kā anīlā-pan
zindagī ke aariz par ye karīh pīlā-pan
uf ye biitī rātoñ kī yaad kā kaTīlā-pan
aane vaalī sub.hoñ ke dhyān kā rasīlā-pan
khā.egā shikast ik din sabr-o-zabt-e-paiham se
dard kā tasalsul aur jabr kā haTīlā-pan
zindagī kī mausīqī kis sitam kī shākī hai
huzn hai navāoñ meñ lai meñ hai chaTīlā-pan
ye hasin fitrat ke husn ka anila-pan
zindagi ke aariz par ye karih pila-pan
uf ye biti raaton ki yaad ka kaTila-pan
aane wali subhon ke dhyan ka rasila-pan
khaega shikast ek din sabr-o-zabt-e-paiham se
dard ka tasalsul aur jabr ka haTila-pan
zindagi ki mausiqi kis sitam ki shaki hai
huzn hai nawaon mein lai mein hai chaTila-pan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.