ye hijraton ka zamana bhi kya zamana hai
ye hijratoñ kā zamānā bhī kyā zamānā hai
unhīñ se duur haiñ jin ke liye kamānā hai
ḳhushī ye hai ki mire ghar se phone aayā hai
sitam ye hai ki mujhe ḳhairiyat batānā hai
hameñ ye baat bahut der meñ samajh aa.ī
vahīñ to jaal bichhā hai jahāñ bhī daana hai
hameñ jalā nahīñ saktī hai dhuup hijrat kī
hamāre sar pe zarūrat kā shāmiyāna hai
namāz eid kī paḌh kar maiñ DhūñDhtā hī rahā
kahīñ dikhe koī apnā gale lagānā hai
vahīñ vahīñ liye phirtī hai gardish-e-daurāñ
jahāñ jahāñ bhī likhā merā āb-o-dāna hai
ye hijraton ka zamana bhi kya zamana hai
unhin se dur hain jin ke liye kamana hai
KHushi ye hai ki mere ghar se phone aaya hai
sitam ye hai ki mujhe KHairiyat batana hai
hamein ye baat bahut der mein samajh aai
wahin to jal bichha hai jahan bhi dana hai
hamein jala nahin sakti hai dhup hijrat ki
hamare sar pe zarurat ka shamiyana hai
namaz eid ki paDh kar main DhunDhta hi raha
kahin dikhe koi apna gale lagana hai
wahin wahin liye phirti hai gardish-e-dauran
jahan jahan bhi likha mera aab-o-dana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.