ye hijraton ke tamashe, ye qarz rishton ke
ye hijratoñ ke tamāshe, ye qarz rishtoñ ke
maiñ ḳhud ko joḌte rahne meñ TuuT jaatā huuñ
mirī anā mujhe har baar rok letī hai
bas ek baat hai kahne meñ TuuT jaatā huuñ
zamīñ kā karb, lahū, dard, gardish-e-paiham
ik izhdihām hai, sahne meñ TuuT jaatā huuñ
maiñ ik nadī huuñ mirī zaat ik samundar hai
maiñ apnī ḳhaak pe bahne meñ TuuT jaatā huuñ
ye hijraton ke tamashe, ye qarz rishton ke
main KHud ko joDte rahne mein TuT jata hun
meri ana mujhe har bar rok leti hai
bas ek baat hai kahne mein TuT jata hun
zamin ka karb, lahu, dard, gardish-e-paiham
ek izhdiham hai, sahne mein TuT jata hun
main ek nadi hun meri zat ek samundar hai
main apni KHak pe bahne mein TuT jata hun
- Book : Ishq (Pg. 135)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.