ye iKHlas-e-garan-maya bahut hai
ye iḳhlās-e-garāñ-māya bahut hai
tum aa.e dil ko chain aayā bahut hai
ġham-e-dil ko bahut raas aa.e haiñ ham
ġham-e-dil ham ko raas aayā bahut hai
fareb-e-dushmanāñ ham khā.eñge kyā
fareb-e-dostāñ khāyā bahut hai
mubārak tum ko qasr-o-chatr-e-shāhī
hameñ dīvār kā saaya bahut hai
bahut ham ne bhī samjhāyā hai dil ko
hameñ bhī dil ne samjhāyā bahut hai
usī duniyā ko ham apnā rahe haiñ
ki jis ne ham ko Thukrāyā bahut hai
ḳhudā rakhe use dil-shād 'sāhir'
ki us ne ham ko taḌpāyā bahut hai
ye iKHlas-e-garan-maya bahut hai
tum aae dil ko chain aaya bahut hai
gham-e-dil ko bahut ras aae hain hum
gham-e-dil hum ko ras aaya bahut hai
fareb-e-dushmanan hum khaenge kya
fareb-e-dostan khaya bahut hai
mubarak tum ko qasr-o-chatr-e-shahi
hamein diwar ka saya bahut hai
bahut hum ne bhi samjhaya hai dil ko
hamein bhi dil ne samjhaya bahut hai
usi duniya ko hum apna rahe hain
ki jis ne hum ko Thukraya bahut hai
KHuda rakhe use dil-shad 'sahir'
ki us ne hum ko taDpaya bahut hai
- Book : Sehr-e-Khayal (Pg. 36)
- Author : Sahir Hoshiarpuri
- Publication : Modern Publishing House (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.