ye inqalab hua jaane runuma kaise
ye inqalāb huā jaane rūnumā kaise
badal ga.e tirī mahfil meñ āshnā kaise
tumhārī bazm meñ āḳhir maiñ luT gayā kaise
ye sāneha to huā hai magar huā kaise
zarā ye dekh ki mere sujūd-e-paiham se
miTā to naqsh-e-kaf-e-pā magar miTā kaise
vafā kā ġhair kī bhī imtihān ho jaa.e
hamāre hote hue us ne ye kahā kaise
uThāne vaale hameñ bazm se zarā ye dekh
ki TūTtā hai ġharīboñ kā aasrā kaise
maiñ koī qatra-e-shabnam thā tābish-e-ruḳh se
vajūd-e-harf-e-ġhalat kī tarah miTā kaise
hai 'aish' saath koī rāhbar na hamrāhī
kaTegī dekhiye tanhā rah-e-vafā kaise
ye inqalab hua jaane runuma kaise
badal gae teri mahfil mein aashna kaise
tumhaari bazm mein aaKHir main luT gaya kaise
ye saneha to hua hai magar hua kaise
zara ye dekh ki mere sujud-e-paiham se
miTa to naqsh-e-kaf-e-pa magar miTa kaise
wafa ka ghair ki bhi imtihan ho jae
hamare hote hue us ne ye kaha kaise
uThane wale hamein bazm se zara ye dekh
ki TuTta hai gharibon ka aasra kaise
main koi qatra-e-shabnam tha tabish-e-ruKH se
wajud-e-harf-e-ghalat ki tarah miTa kaise
hai 'aish' sath koi rahbar na hamrahi
kaTegi dekhiye tanha rah-e-wafa kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.