ye ishq kal tujhe husn-e-jawan mile na mile
ye ishq kal tujhe husn-e-javāñ mile na mile
na der kar ki ye jins-e-girāñ mile na mile
butoñ se mil ke bhī ārām-e-jāñ mile na mile
nazar mile to mizāj-e-butāñ mile na mile
maiñ aaj hī use kyuuñ sarf-e-dil na kar Dālūñ
ye ḳhuuñ kī buuñd mujhe kal yahāñ mile na mile
hadīs-e-shauq payambar talāsh kar legī
zabāñ kī kaun zarūrat zabāñ mile na mile
nigāh-e-shauq ne dekhā hai ik hasīn ufuq
mirī jabīñ ko tirā āstāñ mile na mile
gale lagā ke kiyā nazr-e-sho.ala-e-ātish
qafas se chhūT ke phir āshiyāñ mile na mile
matā-e-shauq ko ashkoñ ke saath bhej bhī duuñ
phir us ke ba.ad koī kārvāñ mile na mile
chalo qubūl bhī kar lo mire sujūd-e-niyāz
ab un ko aur koī āstāñ mile na mile
hayāt-e-fānī-e-'mullā' kī lazzatoñ kī qasam
balā se zindagī-e-jāvedāñ mile na mile
ye ishq kal tujhe husn-e-jawan mile na mile
na der kar ki ye jins-e-giran mile na mile
buton se mil ke bhi aaram-e-jaan mile na mile
nazar mile to mizaj-e-butan mile na mile
main aaj hi use kyun sarf-e-dil na kar Dalun
ye KHun ki bund mujhe kal yahan mile na mile
hadis-e-shauq payambar talash kar legi
zaban ki kaun zarurat zaban mile na mile
nigah-e-shauq ne dekha hai ek hasin ufuq
meri jabin ko tera aastan mile na mile
gale laga ke kiya nazr-e-shoala-e-atish
qafas se chhuT ke phir aashiyan mile na mile
mata-e-shauq ko ashkon ke sath bhej bhi dun
phir us ke baad koi karwan mile na mile
chalo qubul bhi kar lo mere sujud-e-niyaz
ab un ko aur koi aastan mile na mile
hayat-e-fani-e-'mulla' ki lazzaton ki qasam
bala se zindagi-e-jawedan mile na mile
- Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 138)
- Author : Anand Narayan Mulla
- Publication : National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.