ye jaan-gudaz safar dam-e-KHwab ho na kahin
ye jāñ-gudāz safar dām-e-ḳhvāb ho na kahīñ
ravāñ hai jis meñ safīna sarāb ho na kahīñ
yuuñ hī utartā na jā sard gahre paanī meñ
chamaktā hai jo bahut sehr-e-āb ho na kahīñ
khaḌā jo jhāñktā hai kab se garm kamroñ meñ
galī meñ ThiThurā huā māhtāb ho na kahīñ
havā ye kaun sī chaltī hai ār-pār mire
khulā huā kisī ḳhvāhish kā baab ho na kahīñ
diloñ pe kyuuñ nahīñ kartīñ asar tirī bāteñ
zamīñ to Thiik hai paanī ḳharāb ho na kahīñ
ġhubār se bharī bojhal fazā hai dil pe muhīt
garaj rahā hai jo sar meñ sahāb ho na kahīñ
sajā.e phirtā hai vo jis ko coat par 'shāhīñ'
mire hī ḳhuuñ kā mahaktā gulāb ho na kahīñ
ye jaan-gudaz safar dam-e-KHwab ho na kahin
rawan hai jis mein safina sarab ho na kahin
yun hi utarta na ja sard gahre pani mein
chamakta hai jo bahut sehr-e-ab ho na kahin
khaDa jo jhankta hai kab se garm kamron mein
gali mein ThiThura hua mahtab ho na kahin
hawa ye kaun si chalti hai aar-par mere
khula hua kisi KHwahish ka bab ho na kahin
dilon pe kyun nahin kartin asar teri baaten
zamin to Thik hai pani KHarab ho na kahin
ghubar se bhari bojhal faza hai dil pe muhit
garaj raha hai jo sar mein sahab ho na kahin
sajae phirta hai wo jis ko coat par 'shahin'
mere hi KHun ka mahakta gulab ho na kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.