Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jafa-e-gham ka chaara wo najat-e-dil ka aalam

Faiz Ahmad Faiz

ye jafa-e-gham ka chaara wo najat-e-dil ka aalam

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    ye jafā-e-ġham chāra vo najāt-e-dil aalam

    tirā husn dast-e-īsā tirī yaad rū-e-maryam

    dil o jaañ fidā-e-rāhe kabhī aa ke dekh hamdam

    sar-e-kū-e-dil-figārāñ shab-e-ārzū aalam

    tirī diid se sivā hai tire shauq meñ bahārāñ

    vo chaman jahāñ girī hai tire gesuoñ shabnam

    ye ajab qayāmateñ haiñ tire rahguzar meñ guzarāñ

    na huā ki mar miTeñ ham na huā ki uTheñ ham

    lo sunī ga.ī hamārī yuuñ phire haiñ din ki phir se

    vahī gosha-e-qafas hai vahī fasl-e-gul mātam

    ye jafa-e-gham ka chaara wo najat-e-dil ka aalam

    tera husn dast-e-isa teri yaad ru-e-maryam

    dil o jaan fida-e-rahe kabhi aa ke dekh hamdam

    sar-e-ku-e-dil-figaran shab-e-arzu ka aalam

    teri did se siwa hai tere shauq mein bahaaran

    wo chaman jahan giri hai tere gesuon ki shabnam

    ye ajab qayamaten hain tere rahguzar mein guzaran

    na hua ki mar miTen hum na hua ki ji uThen hum

    lo suni gai hamari yun phire hain din ki phir se

    wahi gosha-e-qafas hai wahi fasl-e-gul ka matam

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 340)
    • Publication : Educational Publishing House (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now