Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye jahan-naward ki dastan ye fasana Dolte sae ka

Ghulam Mohammad Qasir

ye jahan-naward ki dastan ye fasana Dolte sae ka

Ghulam Mohammad Qasir

MORE BYGhulam Mohammad Qasir

    ye jahāñ-navard dāstāñ ye fasāna Dolte saa.e

    mire sar-burīda ḳhayāl haiñ ki dhuāñ hai suunī sarā.e

    vo havā chupke se jhāñknā kisī bhūle bisre madār se

    kahīñ ghar meñ shahr zulmateñ kahīñ chhat pe chāñd kirā.e

    gil-e-māh ghūmte chaak par kaf-e-kūza-gar se phisal ga.ī

    ki bisāt-e-gardish-e-sāl-o-sin yahī farq apne parā.e

    mirā nutq bhī hai nigāh bhī mirī shā.irī gavāh bhī

    tirī dostī ke mahāz par vo laraztā aks kinā.e

    ki usī ke naam tak aa.e the ye sadā-o-sidq ke silsile

    vahī shaḳhs jis ne tire liye kiyā qatl sochtī raa.e

    ye jahan-naward ki dastan ye fasana Dolte sae ka

    mere sar-burida KHayal hain ki dhuan hai suni sarae ka

    wo hawa ka chupke se jhankna kisi bhule bisre madar se

    kahin ghar mein shahr ki zulmaten kahin chhat pe chand kirae ka

    gil-e-mah ghumte chaak par kaf-e-kuza-gar se phisal gai

    ki bisat-e-gardish-e-sal-o-sin yahi farq apne parae ka

    mera nutq bhi hai nigah bhi meri shairi ka gawah bhi

    teri dosti ke mahaz par wo larazta aks kinae ka

    ki usi ke nam tak aae the ye sada-o-sidq ke silsile

    wahi shaKHs jis ne tere liye kiya qatl sochti rae ka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ye jahan-naward ki dastan ye fasana Dolte sae ka Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now